27.6.11

2 - Ghazals In Roman


Yarabb! labb-e-khamosh ko aisa kamal day
Jo guftgoo kay saray hi lehjay ujal day

Soaz-e-duroon-e-qalb ko itna jamal day
Jo mujh ko aik shamma kay qalib mein dhal day

Woh khwab marhamat ho ke aankhein chmak uthein
Woh sarr khushi ata ho ke dunya misal day

Woh harf likh sakoon ke banay harf-e-purr asar
Ik kaam karr sakoon too mujhay garr majal day

Main apni sha'eyri kay li'ay aa'eina banoon
Rahat nahin,too mujh ko baqa'ay malal day

Teray hi aastan pe jhuki ho jabeen-e-dill
Apnay hi darr kay wastay khoo'ay sawal day


***


Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi
Nigah-e-ahl-e-jahan mein haqeer hoon mein bhi

Agar too haqa-e-shaam-o-sahar mein qaid raha
To zindgi kay qafas mein aseer hoon mein bhi

Meray wujood mein jalti iss aag parr matt jaa
Agar too door rahay,zemhareer hoon mein bhi

Teray wujood say munkir jahan mein thi, main hi
Teri nigaah ki abb to aseer hoon main bhi

Meray li'ay bhi rahain abb faza'ein chashm baraah
Saba kay sath khizan ki safeer hoon main bhi

Wafa to sath nibhanay ka ik bahana hai
Riwaj ki teri soorat,aseer hoon main bhi

Main sirf jism nahin, aik zinda rooh bhi hoon
Khuda kay baad,samee-o-baseer hoon main bhi


***


Janay kya kya na tamasha ho ga
Dill bharay shehr mein tanha ho ga

Bewafa mujh ko samajhnay walay!
Tera mayar-e-wafa kya ho ga?

Kisi boaseeda dareechay say kabhi
Naya manzar nazar aata ho ga?

Meri qismat mein to weerani hai
Ha'ay,woh shakhs bhi tanha ho ga!

Yaas mein behtay huway ashkon say
Uss ka takya kabhi bheega ho ga

Chand raaton kay guzar janay parr
Janay kis haal mein darya ho ga!


***


Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi


***


Na shoq hai na tamanna na yaad hai dill mein
Ke mustaqil kisi ghamm ki nehad hai dill mein

Hai alif laila-o-laila si zindgi darpaesh
So jagti huei ik Shehrzad hai dill mein

Jo zabt-e-chashm kay baa'es na ashk bann paya
Uss aik qatra-e-khoon ka fasad hai dill mein

Phir aik sheh-e-Saba say bulawa aaya hai
Phir aik shoq-e-Suleman nazad hai dill mein

Hai aik sehr-e-dill aawez ka aseer badan
To jaal binti,ko'ei aur yaad hai dill mein

Tamam khwahishein aur hasratein,tamam huein
Magar jo sabb say ajab thi,murad hai dill mein


***


Ilhaam, wahhi k shairi hai
Iss dil pay jo aaj utar rahi hai

Yeh wasl hai ya main khwab mein hoon
Hai khwab k wasl ki ghari hai?

Soya hai wajood aur dil mein
Ik cheez ajeeb jaagti hai

Khushboo say mehek raha hai aangan
Aur tan pay bahaar aa gaei hai

Aaghosh mein khill uthha hai gulshan
Hontoan pay gulon si taazgi hai

Aankhon mein charagh jall rahay hain
Maathay pay anokhi roshni hai

Kuch door pay hai khizaan ka dera
Basti yeh bahar mein basi hai

Main raah pay teri chal rahi hoon
Duniya meri samt dekhti hai

Kam hon gay aseer-e-yad-e-janan
Yeh bhi to ataey zindagi hai


***

Ik hasrat-e-aab ho gaei hoon
Main khud hi saraab ho gaei hoon

Likhi hoon ik ajnabi zaban mein
Honay ko,kitaab ho gaei hoon

Ik khwab mein jii rahi thi ab tak
So khwab hi khwab ho gaei hoon

Tha kitna saja huwa yeh chehra
Aur kesi kharab ho gaei hoon

Ginta jo raha woh mujhh ko har pal
Be hadd-o-hisab ho gaei hoon

Gohar thi kabhi dil-e-sadaf mein
Ab naqsh br aab ho gaei hoon

Karti thi sawal zindgi say
Ab apna jawab ho gaei hoon

Too bethh kinar-e-ishq, main to
Sohni ka Chanab ho gaei hoon

Ab toar liya chaman say rishta,
Jangal ka gulaab ho gaei hoon


***


Rastay mein diya jala rahi hai
Jangal ki hawa bula rahi hai

Ab raaz na reh sakay gi chahat
Yeh shoakh,jo gull khila rahi hai

Ik dard para hai palenay mein
Aur yaad usay hila rahi hai

Aankhon pay khulay hain pankh iss kay
Ik aas mujhay sula rahi hai

Chhatri pay sajay hain kuchh kabootar
Aur chandni jhhilmila rahi hai

Thhandak hai badan mein iss bala ki
Ab barf mujhay jala rahi hai

Kis shakl ko bhoolnay lagi main
Kya zeest mujhay bhula rahi hai

Peeni hai nabeez-e-ishq mujh ko
Woh aankh agar pila rahi hai

Phir zindgi jaisay dartay dartay
Ranngon say nazar mila rahi hai


***


Ik pall ko,na raat so saki main
Uss khwab ki aas mein rahi main

Jab dheyan mein aa gaya woh chehra
Sonay kay bajaey, roa pari main

Bass aik hi yaad mein garifta
Dil thaam kar apna reh gaei main

Bass aik hi ranj say shikasta
Kion uss say bhala juda huwi main

Bass aik khayal dil pay taari
Woh jagta,sath jagti main

Hota woh agar qareeb meray
Phir chhoo kay bhi uss ko dekhti main

Khush baash rahay,sada jiey woh
Par uss say bichhar kay marr gaei main

Zahir mein to sans lay rahi thi
Zinda thi bagher-e-zindgi main

Chandi say badan pay tha andhera
Uss chand say kitni door thi main


***


Tanha, sar-e-anjuman khaRi thi
Main, apnay wisaal say baRi thi

Haan phool thi, aur hawa ki zad par
Phir meri har aik pankhaRi thi

Ik umr talak safar kya tha
Manzil pay pohanch kay gir paRi thi

Talib koi meri naffi ka tha
Aur shart yeh mot say kaRi thi

Woh aik hawa-e-taaza mein tha
Main, khwab-e-qadeem mein gaRi thi

Woh, khud ko Khuda samajh raha tha
Main, apnay huzoor mein khaRi thi


***


Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai
Dil jisay chahta hai uss say gila mannd bhi hai

Poshish-e-gahm pay na itna bhi koei nazan ho
Is mein halki si khushi ka kahin pewannd bhi hai

Baray,us deed say aankhon ko mila hai kuchh chaen
Lekin is dil ki tarap aaj say dochand bhi hai

Aap kay sarr mein kisi aur ka soda, herat!
Jabb isi sarr ki hmaray liay sogand bhi hai

Raat,tanhai,taaqub mein musalsal koi chaap,
Aur jabb ilm ho, aagay yeh galli bannd bhi hai

Nabz parr dast-e-masiha nahin,hai dast-e-habib
Garr yeh hatt jaey to ik aan mein dil band bhi hai

***

Shamma ki tarha yeh shola bhi tha ik raat ki baat
Ab khuli ham pay teri chashm-e-mdaraat ki baat

Ham k jis baat pay tajj aay thay saari dunya
Teray nazdeek hamesha woh rahi baat ki baat

Teray altaaf ki barish say shraboor tha dil
Yaad parti hai yeh guzri hoei barsaat ki baat

Aankh mein jesay kisi khwab nagar ka manzar
Hoant par us kay kisi shehr-e-tilismaat ki baat

Khud framoshi ki ummid pay aa bethay thay
chhaer di too nay bhi aakhir,wohi halaat ki baat

Jesay ik umr pay chhaei ho syahi iss ki
Yeh gham-e-hijr hai kehnay ko to ik raat ki baat


***

Dasht mein ik telism e aab kay saath
Door takk hamm gaey sarab kay saath

Phir khizan aaei aur khizan kay baad
Khaar khilnay lagay gulaab kay saath

Raat bharr toot'ti huwi neendein
Jurr gaein sehr e maahtaab kay saath

Hamm sada ki tarah bujhay huway thay
Woh tha pehli si aab o taab kay saath

Chhoti umron ki pehli pehli baat
Kuchh takalluf say,kuchh hijab kay saath

Aur phir yeh nigaah e kheera bhi
Doob jaey gi aaftaab kay saath

Raat ki tashtari mein rakhi hain
Meri aankhein kisi kay khwab kay saath

Uss gali mein na kesay koei jaey
Shaam ko iss dill e kharab kay saath

Yeh faqat rasm hi nahien ay doast!
Dill bhi shamil hai intasab kay saath

***

Jesay yeh dard say bani huwi thi
Shaam iss tarah kasni huwi thi

Neend aur khwab mein tthani huwi thi
Dill ki aankhon say dushmani huwi thi

Raat ki apni roshni thi buhat
Dhoop kay jesi chandni huwi thi

Koei zi rooh door door na tha
Aur khamoshi buhat ghani huwi thi

Kon tha bann mein bhiegnay wala
Chadar e abr kion tani huwi thi

Goonjti thi harr aik sans kay saath
Ik tamanna jo raagni huwi thi

Aik muddat kay intazar kay baad
Uss darichay mein roshni huwi thi

Aaiyna kion siyaah lagta tha?
Kya andheray say main bani huwi thi

***

Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain

Taab anjam-e-muhabbat ki bhala kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain

Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain

Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?

Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain

Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin,hasrat-e-prwaz mein rakhay huay hain

Ham to hain aab-e-zar-e-ishq say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain


***

No comments: